PC restore करके Computer repair कैसे करें ?
Agar aap computer use karte hai aur bar-bar kisi kharabi ke karn system ko format karna padta hai. jisse aap chhutakara pana chahte hai, To chinta mat karo aaj mai computer ke oprating system windows 7 ko restore karne ke bare me batane ke sath windows -8 aur 10 me restor ke sthan par recovery ka option hota hai jise use karke hai jise use karke apne pc ko thika kar sakte hai. Is options se pc reapair bahut hi aasani se ho jata hai.
Kuchh common savalo ke javab ham jan lete hai- kya computer repair karna itna aasan hai ki ham ise ghar baithe hi repair kar sakte hai ? to mai aapko bata du, ha bilkul kar sakte hai. Vo bhi kuchh hi time me bahut aasani se.
jaise aapke android mobile me koi problems hoti hai to repair karne ke liye restor factary ka use karte hai thik waise hi aapko pc repair karne ke liye system restor ka use karna hota hai.
Aapke computer windows me jab bhi kisi tarh ka koi changes hota hai, usse pahle system ek restore points bana leta hai.
Yah windows ke change hone se pahle ka snapshot hota hai. Jo Inatallation aur Uninstallation ke samy koi galti ho jati hai to, restore ke use se apne Computer ko purani avastha me le ja sakte hai.
System restore karne ke kai karn ho sakte hai. Jaise aaj aapke computer ke sath koi problem ho aur aap usse nijat paana chahte hai, to systom restor ka proyog karna aapke liye batter hoga.
Agar kisi software ko install karna chahte hai aur vo nhi ho rha hai to bhi restor ko use me la sakte hai. Yadi Koi error aapke OS me aa rha hai tab bhi Iska use karte hai.
Jab aapko lage ki computer ko format karna jaruri hai to usse pahle ek bar restor jarur kar le ho sakta hai aapka system thik ho jay. Aise anek karn hai jise aap system restor karke hi pc repair kar sakte hai.
pc restor karne ke liye maine steps by steps niche guide kiya hai jise fallow karke koi bhi badi aasani se apna pc repair kar sakta hai.
Step-1:
1. Apne Computer ko on karne ke bad left side corner me Start menu par click kare.
2. Fir search box me System restore type kare.
3. Aapke samne jo suchi aayegi usme System restore par click kare.
Step-2:
Ab jo window open hoti hai usme next par click kare. jaisa ki aap niche image me dekh rhe hai.
Step-3:
1. Us restore point ko choose kare jise use karna chahte hai. window restor topic ka advice deta hai jo aamtaur par jaldi ka hota hai.
Agar aap old chahte hai to next par click kar sakte hai. But isse pahle niche diye option ko read kar le.
2. So more restore points- Yha restor point ko chek karne ke liye tick kiya jata hai. ho sakta hai ki restor karne ke liye jyada topic na ho. kyoki window srorege ko bachane ke liye old restare points ko hata teta hai.
3. Scan for Affected programs- Is option par click karke dekh sakege ki kaun sa program ya driver set kiye gye restor points se Install ya uninstall kiye jayege.
4. Sab set karne ke bad last me next kare
Step-4:
Ab jo new window open hoti hai usme Finish par click karte hi restor ki prakriya shuru ho jayegi. Tab tak wet kare jabtak prakriya puri na ho jay.
Computer reboot hoga aur restor start ho jayega. Isme kuch time lagata hai.
Sabhi work pura hone ke bad ek message aayega. Jo ye batayega ki aapka computer safaltapurn रिस्टोर ho gya hai. Niche dekhe.
System restore completed successfully. Yhe System has been Restored to 06-08-2016 05:16:35, your docoments have not been affected.
Agar iske bad bhi aapko pc repair karne me paresani ho rhi hai to Aap pc recovery tools ka pryog kare. ye ekdam aasan hai,
Ye ek cd me hota hai jise buy karte hai. And is cd ko apne pc me lagakar pc repair kar sakte hai. aap chahe to is tool ko online bhi download kar le.
Ab aap jis paresani ko dur karne ke liye सिस्टम रिस्टोर ka use kiya tha usko dekhe kya vah dur ho gya hai.
Agar aapke computer me aur bhi problem bad jata hai to Restor ko cancel bhi kar sakte hai. iske liye सिस्टम रिस्टोर ko open karne ke bad Undo systom restore karke abhi kiye gaye रिस्टोर ko रद्द kar sakte ho.
तो दोस्तों ये मेरा पोस्ट कैसा लगा ? अगर कही पर कोई बात समझ में न आई हो तो कमेंट करके अपना सवाल पूछ सकते हैं | अपने फेसबुक पर पोस्ट को रीड करने के लिए मेरे fb पेज को like करना ना भूलें |
गुड ब्लॉग्गिंग .....