April 9, 2008 4pm
Me: AOA .. Can you please tell me how much zakat is payable on 100 grams of gold ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: ws .. aap ku apny sary nisab ka hisab laga kar zakat ada karna hu ghi .. aur 100 garams gold ki qimat kisi dukandar sy maloom kar li jay
Me: ok .. kia saray gold per zakat lagti hay yah sirf aik had sai ziada gold per zakaq lagti hay ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: aap k pass gold k ilawa bhi naqad raqam bhi tu hu ghi ??
Me: jee haan .. us par toa 2.5% calculate kar li hay
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: aap apni milkiat main mujud sari milkiat ku jama karian aur p hir us ka 2.5 ada karain
Me: yaani tamaam gold per zakat lagti hay ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: g
Me: ok .. aur cash kay baaray aik baat batain main 1st Ramzan ko zakat calculate karta hoon aur 1st ramzaan ko meray paas kuch cash aata hay kia us per bhi zakat lagay gi? yah sirf aik saal sai mojood cash per zakat lagay gi ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: kia aap ku apny saahiby nisaab bannay ki tareekh yad hai ? yani kis date ku aap k pass nisab k barabar maliat jama huie thi ?
Me: yaad toa nahin .. per main har saal 1st Ramzan ko hi zakat calculate karta hoon
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: is tarha karna sharan theek nahi hai .. aap kushish kar k ph ly apni date ku maloom karian aur aur agar yaqeeni tur par maloom huna mumkin na hu tu jis tareekh ka ziaayada imkan hu us ku muqarrar kar lain aur ussi tareekh ku hisab ligana zururi hu gha
lihaza us tareekh tak ju mal aap k pas aaya chahy us par sal ghuzra ya na ghuzra sary ki zakat ki jay
Me: theek .. bohat shukria