April 23, 2008 3pm
Me: AOA .. hamari society main Joint Family system chalta hay ... jahan aik sai ziada bhai aik hi ghar main rehtay hain
toa is tarah kaisay parday ka khiyaal rakh saqtay hain ? hamari society main Joint Family system chalta hay ... jahan aik sai ziada bhai aik hi ghar main rehtay hain toa is tarah kaisay parday ka khiyaal rakh saqtay hain ?
Mufti online @ Jamia Ashrafia: ws .. g is surat main jitna ziyada hu saky ihtiyat par aamal kia jay .. jis k aik surat yeh hai k har waqat pardy ka khiyal rakha jay aur ghairmahram sy ziyada bat cheet waghaira na hu hansi mazaq na hu akyly main na baithain waghaira
Me: sorry .. my internet connection had disconnected .. pls aap apnay msg dubara send karain
Mufti online @ Jamia Ashrafia: kis bary main?
Me: parday kay mutaliq
Mufti online @ Jamia Ashrafia: kia aap mukammal bat nahih samaj aai ? bas ihtiyat karian aur jis surat main by pardaghi ya nuqsan ka khatra hu us sy bachain
Me: internet disconnect ho gia tha .. aur mujhay aap kay saaray msg nahin milay ... is liyeh kaha keh peechlay msg doobara send kar dain
acha .. kia aik kamray main baith kar baat cheet ho saqti hay? I mean .. agar Mehram bhi saath baithay hoon
Mufti online @ Jamia Ashrafia: zururi bat chit kar sakty hain
Me: theek ... aur kuch mog kehtay hain kay Face ka parda nahin hota ... aap kia kehtay hain? Is baray main koi Ayat ya hadees hay jis main cehra chupanay ka hukam ho?
Mufti online @ Jamia Ashrafia: apny ny ju surat biyan ki thi us main tu face k pardy main ghunjaish hai magar aam halat main face ka parda zururi hai
Me: face kay pardy main ghunjaish ki koi hadees yaad hay aap ko? aur doosri soorat main aap ko koi hadees yaad hay jis main face ka parda lazmi bataya gia ho?
Mufti online @ Jamia Ashrafia: e mail kar dain .. ummqura@brain.net.pk
Me: ok .. aik aur sawal ... jis tarah mardoon ko hukam hay kay Ghair Mehram per Nazar partay hi Face doosri taraf kar lain isi tarah Aurat kay liyeh bhi hukam hay ?
Mufti online @ Jamia Ashrafia: g bilkul
Me: ok, thank you