Mar 5 2009 3pm
Me: chair per namaz parhtay hoay sajda kaisa kia ja saqta hay? Masjid main jo chairs hoti hain, un main sajday kay liyeh aik lakri samnay ki taraf lagi hoti hay ji per log sir rakh kar sajda kartay hain .. kia yeh darust hay?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: sharee mazur lakri par sajda nahi kary gha, balky ruku aur sajda ishary sy kary gha, aur sajdy m ain zara ziada sar ku jhukay gha
Me: toa lakri per sajda jo kartay hain, un kay baray kia hukam hay?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: unhain aisa nahi karna chahiy