Jan 24, 2009 3pm
Me: AOA .. agar ghar main kuch Khawateen hoon .. aur masjid main Namaaz ka waqt nikal jai .. to jumat sai ghar main namaaz parhai ja saqti hay
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: g mahram khawateen aur ya wife k sath jamat ki ja sakti hia .. laikin is ka mamool banana thek nahi hai
Me: ok .. is surat main, azan daini cahiyeh ? aur takbeer kon parhay gaa ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: agar aas paas azan hu chuki hai tu azan ki zururat nahi hai .. albatta takbeer k bary main daikhna pary gha
Me: ok