Saturday March 21, 2009 - 12pm
Me: AOA .. kia ham kisi aur ki manat manay hoay Nawafil us ki taraf sai parh saqtay hain ?
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: ws .. jis ny mannat mani hay usi ko parhan lazim hay
Me: aur kia Nawafil parhnay ki bajai kisi aur tarah manat poori ho saqti hay? yani koi sadqa dai kar yah kisi aur tarah
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: mannat ki tafseel batyn kah kysy mani / aor kia alfaz kahy?
Me: meri ammi nain manat mani thi kay, agar falan kam ho gia to main nafal parhoon gi. ab kaam ho gia hay, lakin un sai nafal nahin parhay jaa rahay
Mufti Online @ Jamia Ashrafia: nafil perhnay zaroree hyn is kay ilawa koi chara nahi. is lia koshesh ker kay yeh zima daree poree keryn
Me: theek, shukria