What is Accounts only & Accounts with Inventory
Chapter 15 : What is Accounts only & Accounts with Inventory
Tally ERP9 me Accounting ke kaam ko karne ko 2 tarike hai.
Accounts only
Accounts with inventory
VIMALA GURUKUL
Tally ERP9 me Accounting ke kaam ko karne ko 2 tarike hai.
Accounts only
Accounts with inventory
hame Bas Simply itna Samajhna hai ki accounts only kya hota hai aur Accounts with inventory kya hota hai.
to shuru karte hai accounts only ke sath.
Main Simple sa Example dekar Baat puri kar deta hu.
Example – Rohan se 100 Rs. ka Maal Kharida.
Upar ke Example me ye to bataya gaya hai ki Rohan se maal Kharida aur Ye Bhi bataya gaya hai ki 100 Rs. ka maal kharida.
Lekin ye nahi bataya gaya hai ki 100 Rs. ke maal me kya item kharida.
So Simple sa jawab hai Jis Accounting me Kharide ya beche gaye Item ki Detail rakhna Jaruri nahi hai use Accounts only Kehte hai.
Example – Rohan se 100 Rs. ka Maal Kharida Jisme –
Upar ke Example me hamne Ye bhi likha ki Rohan se maal kharida aur ye bhi Likha ki 100 Rs. ka maal kharida aur sath me us maal me kya items hai ye bhi likha.
So iska bhi bahut simple sa jawab hai ki jis Accounts me Stock ko maintain rakhna jaruri hai use Accounts with Inventory kehte hai.
aur Inventory ka matlab hi Stock ki list se hota hai.
Ummid karta hu ki aapko ache se samajh me aa gaya hoga.