Types of Purchase in Tally
Chapter 14 : Types of Purchase
Is Chapter ke baad ham Tally ERP9 me Purchase ki Entry Karna Sikhenge lekin us Se Pehle Ham Ye Jaan Lete hai ki Purchase kitne Tarah ki hoti hai aur kis tarah unki entry karni hai aur kaunsi purchase me kya dhyan rakhna hai so without Wasting the time let’s begin the Chapter –
What is Purchase
Jaisa ki Naam Se hi Malum ho raha hai Purchase ka Matlab Hota hai maal Kharidna aur ek Accountant ko Purchase ki Entry Karne se pehle ye Dekhna padta hai ki wo kis tarah ki purchase hai kyunki Accounting me waise to purchase Kai Tarah ki Hoti hai Lekin Ham Filhal Tally ERP9 me 4 Tarah ki Purchase Ki Entry Karna Sikhenge Jo Kuch Is prakar hai.
Purchase Exempt
Purchase GST
Purchase Interstate Exempt
Purchase IGST