Maana ki is zameen ko na gulzaar kar sake,
kuchh khaar to kam kar gaye, guzare jidhar se hum...
Badi gaur se sun raha tha saara zamana..
Hum hi so gaye, daastaan kehte kehte
natija yeh hi nikla ki thi kismat me nakaami,
kabhi kuchh kehkar pachhtaaye, kabhi chup rehkar pachhtaaye
Unko dekhke aa jaati hai is chehre pe ronak,
Voh samajte hai ki bimaar ka haal achchha hai !!
nahin nahin humein ab teri justaju bhi nahin
tujhe bhi bhool gaye hum teri khushi ke liye
palak pe hain agar moti to yeh nahi kaafi ..
hunar bhi chahiye alfaaz mein pirone ka
Aye mauje bala, unko bhi zara do, char thapede halke se..
Kuchh log abhi tak saahil se tufaan ka nazara karte hai..
Kambakht is ishq ne hame nikamma kar diya,
varna hum bhi aadmi the kisi kaam ke...
Hame pata hai jannat ki haqiqat lekin,
dil ko behlaane ke liye gaalib yeh khayaal achchha hai..
Humne manga tha saath unka,
Woh judai ka gam de gaye,
Hum unki yaado ke sahare ji lete,
par woh bhul jaane ki kasam de gaye...
Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi,
JoAaap Shabdon Ko Samajh Paayenge.
kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhiye,
Hazaro Alfaz Khud B Khud Bikhar Jayenge.
aansuon ko palkon pe laaya na kijiye..
dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye...
log mutthi mein namak liye firte hain..
apne har jakhm dikhaya na kijiye... !
Chand Lamho Ki Zindgani Hai,
Nafrato Se Jiya Nahi Karte,
Lagta Hai Ab Dushmano Se Gujarish Karni Padegi...
Kyun Ki Dost To Yaad Kiya Nahi Karte...
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai
bhule hai rafta-rafta unhe mudatton mein hum,
kishton mein khud kushi ka majaa hum se puchiye.
Kuch aise bhi manzar hain,
tariq ki nazron mein,
Lamhon ne khata ki,
sadiyon ne saza payee....
Tufano mein Kashti ko Kinaare bhi milte hai,
Jahan mein Logone ko Sahaare bhi milte hai,
Duniyan mein sabse Pyari hai Zindagi,
kuch log Zindagi se bhi Pyaare milte hai..
Mai Peeta to tha magar,
Tune apni kasam de kar chhuda di,
ja baitha yaroo ki mahfil mein,
unhone teri kasam dekar pila di.
MERA HAR DIN TERI RAAT SE ACHHA HOGA,
MERA HAR SHER TERE JASBAAT SE ACHA HOGA,
INHI NIGHAON SE DEKHNA AYE BEWAFAA.
MERA JANAAZA TERI BAARAT SE ACHHA HOGA
Insan ke kandho pe Insan jaa rahe the
Khafan mai lipte kuch arman ja rahe the
Jise nahi mili muhhabbat duniya mai
VO muhhabbat pane ko samshan ja rahe the
kaha koi aisa mila jispe dil luta dete...
har ek ne dhokha diya kis-kis ko bhula dete...
apne dard-e-dil dil hi me dabaye rakhe hain...
karte gar bayan to mehfil ko rula dete...
MERE JANAZE KO ROK DENA,
GALIB JAB UNKA GHAR AAYE,
SHAYAD WO CHILMAN SE JHAKEN
AUR MERA DIL DHARAK JAYE
Tuti Hui Kabar Per,
Khuli Hui julfo se,
Jab ek Mehjabeen Roti hai,
Tab Aksar Yeh Khayal aata hai,
Ki Maut bhi Kitni Haseen Hoti Hai...
Nafrat thi hamse tho izhar kyu kiya?
Dena tha zeher tho pyar kyu kiya?
Dekhar zeher kehte ho pina hi hoga,
Aur jab pee gaye zeher tho kehte ho jeena hi hoga!!!!
Hasne ke baad kyon rulati hai duniya..
Jane ke baad kyon bulati hai duniya..
Zindagi mein kya kuch kasar baki thi,
Jo marne ke baad jalati hai duniya..
log tut jaate hai ek ghar basane me,
tum taras nahi khate bastiyaan jalane me.
duniyame khub kamaya kya hire kya moti ?
par kya kare yaaro, kafan me jeb nahi hoti.
faila di hai baahein, hum chahe to paida kar de chattano me raahein,
baaho se to ban sakti hai koi baat, aahon se to haalat badalne se rahe.
jeevan khatma hua to jine ka dhang aaya,
shama jab buz gayi to mehfil me rang aaya.
man ki machinary ne tab thik se chalna sikha,
jab budhe tan ke harek purje me jang aaya.
fursat ke vaqt me na smaran ka vaqt nikla,
us vaqt vaqt maanga jab vaqt tang aaya.
apni vajha-e-barbaadi suniye to maze ki hai.
jingi se yun khele jaise dusre ki hai.
vaqt ke bedard thapede jaane hame kaha le jaaye
aao saathi zara door tak saath saath hi ho le aaj
ghav purane sukh na jaaye yehi to dil ki punji hai
ichchha hai yaado ki gathari naye sirhe se khole aaj
door akele ek kone me jaakar kyon na roye aaj
-from Suchi
aaine ke sau tukde karke humne dekhe hai.
ek me bhi tanha the saume bhi akele hai.
har pal me pyaar hai.
har lamheme khushi hai
kho do to yaadein hai
ji lo to zindagi hai
Gunahgaaro me hai shamil
gunaahon se nahi waaqif
Saza to jaante hai hum,
Khuda jaane khata kya hai
me soya tha chain se odhe kafan mazaar me
yaha bhi sataane aa gaye kisne raasta dikha diya !
gam ki bijali giri jal gaya aashiyaan
hamsafar chhut gaye lut gaya kaarwaan
zindagi ki mujhe ab tamanna nahi
maut bhi agar na aaye to me kya karu
dekh kar mujhe kehta hai saara jaha
raat din rote rehte ho kyon meharbaan
dil sulagata raha phir bhi me chup raha
aankhe sab kuchh bata de to me kya karu
-from Shri Shahbuddin Rathod
Aapki ek muskurahatne hamare hosh udaa diye.
Hum hosh me aane hi wale the, ki aap Phir se muskura diye !
-from Rashmi
Kalam uthayi hai lafs nahi milta,
jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta,
firte hain vo jamaane ki talaash mein,
bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!....."
Kar rahe hai hum dard ke shikhro ki anvarat yaatra
ek shikhar paar kar, rukte hai kshan bhar
baahein failaaye dusra shikhar
deta hai aamantran
-from Suchi
kahi Andhera kahi sham hogi,
meri har khushi tere nam hogi,
ek bar e dost kuch mang ke to dekh,
Hotho pe hasi aur ye zindagi tere nam hogi.
Sir par sooraj, pair nange jal rahe hai,
Hum dagar aviraam lekin chal rahe hai..
Mujhko majboor na kar saaz uthane ke liye,
mere nagme hai bahut aag lagane ke liye
Bheeg jati hai palke tanhai me,
Darte hai koi jaan na le,
Pasand karte hai tez barsaat me chalna,
Kahi rote huye koi pehchaan na le.
Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain,
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah,
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai
-from Mak
Janaza mera uth raha tha, Phir bhi takleef thi unko aane mein,
Bewafa ghar mein baithe puch rahe the, aur kitni der hai lejane mein
- from Mak
AAPKI ZINDAGI MEIN KABHI KOI GHAM NA HO,
AAPKI ANKHEN KABHI ANSUON SE NUM NA HO,
AAPKO MILE ZINDAGI KI HAR KHUSHI,
BHALE HI US KHUSHI MEIN HUM NA HO...
Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya,
auro ko to theek humko bhi tabaah kiya,
pesh kiya jab ghazaloN mein unki bewafaii ko,
auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya
Suna hai khuda ke darbar sekuch farishtey farar ho gaye.
kuch to vapas chale gayeaur kuch humare yaar ho gaye !
जब कभी गुजरा जमाना याद आता है, बना मिटटी का अपना घर पुराना याद आता है। वो पापा से चवन्नी रोज मिलती जेब खरचे को, वो अम्मा से मिला एक आध-आना याद आता है। वो छोटे भाई का लडना,वो जीजी से मिली झिङकी, शाम को फिर भूल जाना याद आता है। वो घर के सामने की अधखुली खिङकी अभी भी है, वहाँ पर छिप कर किसी का मुस्कुराना याद आता है