Sochata hoon

- Sochata hoon aaj fir ek nai shuruwat kar k dekhu... -

Sochata hoon aaj fir ek nai shuruwat kar k dekhu.

Vo huste huye chehre pe jo aansu laya tha..

un aasuo ko fir se ek muskurahat de k dekhu..

Mein sochata hoon aaj fir ek nai shuruwat kar k dekhu.

Jin dooriyo me mein kabhi nazdikiyaan laya tha..

Aaj un dooriyon ko fir se mita k dekhu..

Yu to uljhe huye patang k dhago ko kai baar suljhaya hai..

Lekin ek baar is uljhan ko suljha k dekhu..

Sochata hoon aaj fir se ek shuruwat kar k dekhu..

Yu to galti kar k aaj tak jhukta raha hoon..

Aaj ek baar us galti ki jimmedari le k to dekhu..

School me har ek saza k baad fir sab kuch pehle jaisa hota tha..

Aaj zindagi me sab kuch pehle jaisa banana k to dekhu..

Mein sochata hu fir se ek nai shuruwat kar k to dekhu..

Tez hawa me patang ko to bahot sambhala hai..

Usi tej hawa me aaj is rishte ko bacha k to dekhu..

Milon chala hoon jis aas me door tak..

Us aas ko ek manzil to de k dekhu..

Sochata hoon aaj fir ek nai shuruwat kar k dekhu..

Raat raat bhar jaag k jin khwabo ko buna tha..

Un khwabo ko aaj poora kar k to dekhu..

Subh k suraj ko dekh k ye yakin hota hai..

K jis raat me soya tha uska sawera zaroor hota hai..

Dhairya bhi bahot hai Himmat bhi bahot hai..

Bas is samay ka yakin nahi hai,

Ab aur ruk nahi sakta hoon...

Sochata hoon aaj fir ek nai shuruwat kar k dekhu..