Poetry

Aapko door se taakna hume accha lagta hai

Aapko muskurata dekhna hume accha lagta hai

Na jaane kyu woh khidki ke paas hai baithti

Aapse yun nazrein takraana hume accha lagta hai

Subah ka sooraj, shaam ke badal, raat ka chaand
Aapki galiyon mein na jaane kyu sab hume accha lagta hai

Aapse baatein karna hume accha lagta hai

Aapse dil lagana hume accha lagta hai

Na jaane kabse hai yeh ik tarfa mohabbat

Aapse yeh raaz chhupana hume accha lagta hai 

Aankhon se baat karna sikho

Lafzon mein kya rakha hai

Adaaon se mohabbat karna sikho

Chehero mein kya rakha hai

Kuch jaan ke bhi anjaan reh jaate hai

Aur kuch kashti se bhi saagar paar kar jaate hai

Maine dekha hai waqt ko badalte

Maine dekha hai mausamo ko badalte

Aawaz toh bahut logon ne di mujhe

Maine dekha hai aawaz deno walo ko badalte

Chale the khwab apna poora karne
Khud ke faislo se ladd baithe
Chale the tumse ishq karne
Khud ka wajood hum kho baithe

Kuch hai aankhon mein, aur zaban mein hai kuch
Kuch hai jhoot, aur sach hai kuch

Ke maana kuch afsaano ka anjaam nahi hota

Yeh bhi maana kuch rishton ka naam nahi hota

Zikr hota nahi unka subho shaam magar

Unki yaad aaye bina mera din tamaam nahi hota

'"Poets are shameless with their experiences. They exploit them"

-Friedrich Nietzche