Shayad (From "Love Aaj Kal") Lyrics
Shayad kabhi na keh sakoon main tumko
Kahe bina samajh lo tum shayad
Shayad mere khayal mein tum ek din
Milo mujhe kahin pe gum shayad
Jo tum na ho rahenge hum nahi
Jo tum na ho rahenge hum nahi
Na chahiye kuch tumse zyada, tumse kam nahi
Jo tum na ho toh hum bhi hum nahi
Jo tum na ho toh hum bhi hum nahi
Na chahiye kuch tumse zyada, tumse kam nahi
Aankhon ko khaab dena
Khud hi sawal karke khud hi jawab dena teri taraf se
Bin kaam kaam karna
Jaana kahin ho chaahe, har baar hi guzarna teri taraf se
Ye koshishein toh hongi kam nahi
Ye koshishein toh hongi kam nahi
Na chahiye kuch tumse zyada, tumse kam nahi
Jo tum na ho rahenge hum nahi
Jo tum na ho toh hum bhi hum nahi
Na chahiye kuch tumse zyada, tumse kam nahi
Jo tum na ho
Jo tum na ho
Jo tum na ho