gheebat

Ghaibat--Chughli--

Humare Gharon me aksar Jhagre aur fasadat ki ek wajah hoti hai.wo wajah itni hum logon me Jad pakar chuki hai ke humain khud iske wajood ka Ehsas tak nahi hota..

wo hai Ghaibat...ye wo cheez hai jiska hum sochne baithe to humain pata nahi chalta ke kahan se shuru hui ...

Ghaibat hum log ajkal me aise kar rahe hote hain jaise ye koi bat hi na ho,jabke agar hum iski gehrayi me jayenge to isme humain Fasad ki sari jadain nazar ayengi.iski sab se ziyada Adat aurton me payi jati hai,kuch aurton me to ye adat itni Pukta ho chuki hoti hai ke unhe pata tak nahi chalta wo ghaibat aur chughal khauri kar rahi hain.

Lekin aksariyat ko ye tak pata nahi hoga ke Ghaibat hai kya,..kya Ghaibat karne me ata hai kya nahi...aksar Aurtain jab ek sath baithti hain to kisi na kissi ki burayi kar rahi hoti hain,ya wo kissi ka zikar is andaz me kar rahi hoti hain ke agar wo shakhs sun le to use bura lage.

Unhe is ki itni adat pad chuki hoti hai ke wo ye samajhne se kasir hoti hain wo kya kar rahi hain...issi tarah jis tarah ek jhoot ka adi Shakhs billa irada jhoot bol jata hai,issi tarah Aurton me Ghaibat ki adat payi jati hai.Jahan chaar aurtain baithi ,agar unme se ek uth kar chali gayi to uski burayi shuru ho jati hai.

Ek bar Hazrat Muhammad (saw) ne Sahaba (ra) se pucha ke tum jante ho Ghaibat kya hoti hai?Ghaibat wo hoti hai ke tum apne Bhai ka is andaz me zikar kare jisse wo Pasand nahi karta.

Arz kiya gaya :aur agar wo bat us me payi jati ho,to Apne farmaya ke agar wo bat jo tumne kahi hai wo usme payi jati ho to ,agar wo mojud hai to Ghaibat hai ,agar wo bat mojud nahi hai to tumne us par Bohatan lagaya hai.

To is se humain pata chalta hai ke Ghaibat kehte hain aisi bat ko jo kissi ke ghaibat me ki jaye,yani ghaebana tor kisi ke Mutalik koi aisi bat jo,wo sun kar use buri lage.aur dukh pohanche.

agar yehi bat ghaebana ki jaye to ye ghaibat kehlayegi,aur agar mojudgi me ki jayegi to iska nam Dil azari hai.

Kuch log ye samajhte hain ke ghaibana bat karna buri bat hai to hum to yehi bat uske muh pe bhi keh sakte hain,to is se wo ye nahi samajhte ke wo ek ghalti aur kar rahe hote hain,yani ab uske muh pe karke uski Dil azari bhi karo.ek to ghaibat bhi karo aur phir uske muh pe karke uski Dil azari bhi.

Hazrat Muhammad (saw) ne iske bare me Nasihat farmayi:

"Chunache Ghaibet ke natije me ek aur burayi Paida hoti hai,wo Dukh pohanchane ka mahfoom apne andar rakhti hai,yani Chughal khauri.

Is se humain ye bhi pata chalta hai ke Ghaibat karna to buri bat hai lekin agar koi kisi ko Ghaibat karte sune aur wo is Shakhs tak pohancha de,jiske bare me ki gayi ho ,to ye us Chughal-khaur ki Misaal aisi hai jaise koi kisi ki taraf Teer phenke aur wo Teer Nishane pe na laga aur uske kadmon me girr jaye,aur apne ja kar wo Teer utha kar uske seene me ghonp diya,goya uska Maksad pura kar diya.

To is se sabit hota hai ke kissi ki Dil azari karna mana hai.kissi ko Dukh dena mana hai ,kisi ke Gunahon pe nazar rakhni mana hai,

Gunahon se Haya ki Taleem di gayi hai,

ye wo Gandi adat hai jisne puri Dunya ko apni lepet me le rakha hua hai,humain chahye khud ko is Gandi adat se azaad karain.

jo har dusre Ghar me Fasad ki wajah bani hui hai.

Isi tarah aksar hum do apas me ladne walon ke bich behas ke waqt ye fiqra bhi sunte hain,ke mai kyoon jhoot bolun?meri sach bolne ki adat hai maine sachi bat muh pe kehdi,kyoonke mai bohat safgoh hun,to aise " Saf Goh " Insan pe Allah talah ke Rasool ne Lanat dali hui hai.aur faramaya " Allah talah ka azaab isko Pakdega.

to is se ye bhi pata chalta hai ke sach ka matlab har girz nahi ke jo bat kissi ki Dil azari ki baas bane wo us pe muh pe mar di jaye.

Thik issi tarah,kuch log ye bhi kehte hain ke humne to sirf bat suni hai,humne ghaibat nahi ki aur na hi burayi ki. to aise log ye bhi jan lain ke jisne kissi ki Ghaibat suni aur use mana nahi kiya to wo us me uska Barabar ka shareek hua.

issi tarah isme tajajjus ki ek kisam payi jati hai,,.kuch logon ko billa wajah tajajus hota hai ke falan kya kar raha hai ,kya nahi kar raha ,kahan ja raha hai kahan nahi..aise log ek waqt is nobat tak pohanch jate hain ke wo kissi me burayi na hote hue bh ibas burayi dhundne me lage rehte hain.aur ye phir se Bohtan lagane ki wajah ban jati hai.

is mutalik Hazrat Muhammad (saw) ne farmaya; Eh wo logo,jo Zuban se Imaan laye ho,magar dil me Imaan dakhil nahi hua,tum muselman ki ghaibat na kiya karo aur unke Aaeb aur unki Kamzoriyon ka picha na kiya karo,unki toh me na lage raho,kyoonke jo Shakhs inki Kamzoriyon ka picha karega to Allah talah iske apne Aaeb & gunah zahir kardega ke wo apne Ghar me ruswa ho jayega.

Ek jaga Hazrat Muhammad (saw) ne yahan tak farmaya ke Ghaibat zana se bhi buri harkat hai,Sahaba (ra) ne arz kiya wo kaise? Apne farmaya:Aadmi Zana karta hai aur phir Tauba kar leta hai ,Allah uski Tauba kabool farma deta hai,lekin Ghaibat karne wale ko nahi bakhshta jab tak wo na Bakhshe jiski ghaibat ki gayi ho.

Isi tarah un logon ke lye jo musalsal ghaubat karte hain unka Kafara issi surat me hai ke wo Shakhs unhe Bakhsh de jiski ghaibat ki gayi.

Is Hadees se pata chalta hai ke bazahir choti sa Gunah bhi humain kitna bada nuksan pohancha sakta hai.

Mujhe Umeed hai ke sab members ye parh kar zaroor apne andar kuch tabdili lana chahyenge.aur puri koshish karenge is kisam ke Gunahon se bachne ka.