MashAllah, Ap ka boht shukriya , darasal mujhy thora problem tha meri age kuch zyada ho gae hai is leay kisi aur se pochnay main katrata tha, k wo kia sochain gay k mujhy namaz nae ati..., lakin Allah Ap ka bhala karay mujhy sharmindagi se bachaya.

Jazakallah, Allah aapke Sari parisaniya door farmay Allah aapko or uoochi muqam atah kare, Aameen Summa Aameen, Bhai aapney bohot achhi information di Allah aapko khair-o barkat deh Aameen Summa Aameen.


Namaz Parhne Ka Tarika In Urdu Pdf Download


DOWNLOAD 🔥 https://bltlly.com/2yGc9I 🔥



Jazzakallaha 

 Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo" 


Jub daen hath ki shadat ki ungli uthaen to yani ky (Ashadu An La ilaah illal) illa par foran ungli nechay kar do aksa log ungli nechay nhi karty jo ky gunnha ha

Wah bhai.. wo tarika batya hai jo na hadees main hai na kisi or jaga..fake tariq nabi s.a.w ny apni puri zindagi main asay kabi witr nhi parhy..meray pass proof hai agar tumhary pass is tariqa ka koi saboot hai to btao main phir ap k tariqa sy bi parh lia karn ga..reply must agar sachy ho to


Namaz parhnay ka tareeqa in urdu. ham is post apko sahi aur detailed tareeka btayain gay. muslims din main 5 time namaz parhne keliye masjid jatay hain. kuch cheezain hamain hamesha zehn main rkhni chayie jaisay kay sab say pehlay achi tarha say wuzu karna chayie. ham jahan namaz parh rhay hoon wo jagah saaf honi chayie. hamaray kapray saaf honay chayie, hamara jism bhi saaf hona chayie aur mukamal ba wuzu hona chayie insan ko.

uskay bad qibla rukh hona chayie yani kay insan ko khana e kaaba ki tarf mu karna chayie. phir namaz ki neeyat karni chayie aur uskay bad di gai list hai ayaat ki wo aur is kay mukamal tarika par amal karain.

to dosto ye tha namaz ka mukamal tareeqa. aap sab ka farz banta hai kay isko dosron kay sath bhi share karain takay agar kisi say namaz main ghalti ho rahi ho to wo door ho jaye. iskay ilawa aap namaz e chast aur namaz e ishraq ka tarika bhi daikh sktay hain. namaz parhna har muslman mard aur aurat par farz hai. ALLAH sabko namaz parhnay wala aur is par salamti say qayim rehnay wala bnayay. ameen

Allah Talah ne musalman par kuch chezain farz ki hai un mai se aik aham cheez namaz hai. Namaz Allah ki pasandeda abadat hai or hamari hifazat ka zariya hai. Allah Talah ne musalmano par din 5 namazain farz ki hain. Din ki in 5 namazon ma 4th namaz maghrib ki hai, jo ke asar ki namaz ke bad aada jati hai.

Nabi Pak SAW ne farmaya; logo sham ke waqat shetaan or shetani chezain bahir nikal ati hai to tum log in se bachna chahte ho to tum log maghrib ki namaz phara kro, Allah Talah is namaz ke saadqe in tamam shetani cheezon, jinaat, jadoo se tumhari hifazat farmiga.

Maghrib ki namaz ka waqat suraj garoob hone ke bad shuru hota hai. Maghrib ki namaz ka waqat baki tamam namazon ke waqat se km/thora hota hain. is liye maghrib ki namaz jald aada karni chahiye. Maghrib ka waqat suraj dubne ke bad taqreban 1 ghanta (1 hour) tak rehta hain lekin Afzal ye hai k awal waqat mai phar li jain.

Maghrib ki namaz ki niyat ap dill mai b kar sakte hain or zuban se b. Dill ma niyat kar lena kafi hai, zuban se niyat karna zarori to nai magar kr li jae to sawab hai. Maghrib ki 7 rakaat ki niyat is trah kren.

Sub se pehle 3 rakaat farz ki niyat karne ke baad taqbeer-e-tehreema kharhain phar aur Allah-Akbar keh kar apne dono bandh lain k apka daya hath baye hath ke upper ho. Mard apne hath naaf ke nichy badh lain aur auratain apny hath seenye par bandh lain.

Ruku se uthne ke bad sajde mai chale jain, or sajde ki dua pharhain. sajde ki dua ap 3 ya 5 dafa phar sakte hain, matlab taak aadad mai phar sakte hain. usk baad Allah Akbar keh akr uthain aur seedhe baith jain, Phar Allah Akbar keh k dosra sajda krain aur Allah-Akbar keh kar uth jain.

Jub ap pehli rakat ka sajda complete kar chuke, usk bad Allah-Akbar kahen aur sedhe khare ho jaen. Phar usk bad doosri rakaat ko pehli ki tarah phrahain. Aur phar jub dosri rakaat sajde kar ke complete kar lain to phar ap usi jaga pay Tashahhud yani Attahiyyat baith jain.

Dosri rakat khatam karne ke baad Tashahhud k liye baith jain aur Attahiyyat phrahain. Tashahhud mai bethne ka tarika ye hai ke apka daya paon khara ho aur baya paon becha huva ho. Aur is haalat mai apk dono hath dono ghutnon pay rakhain hovy ho.

Jub ap Attahiyyat phar lain phar ap dobara se Allah-Akbar kehte hue khare ho jain aur phar ap teesri rakat shuru krain. Teesri rakat b pheli 2 rakaat ki trah aada krain albata ap surat fatiha ke baad koi or b surat phar sakte hain.

Salam pher lane k bad apki 3 rakat farz complete ho gye. Ab uske bad usi trah 2 rakat sunnat maghrib adad kr lain. Dosri rakat ke sajade aur Tashahhud khatam karne ke baad, Allah Akabr keh kar uthne ki bajaye wohi bethain rahain or Darrod-e-Ibrahim aur phar duaye massora phrain or uski baad salam pher lain. Is trah apki 2 rakat sunnat complete ho jain gi.

Insan ko har namaz ke baad dua zaror mange. Namaz ke baad dua ki bohat fazilat hai, dua qismat ko baldne ki taqat rakhti hai, is ke samne dunia ki badi badi chezain is ke samne bebas ho jati hai. Aj apk sath maghrib ke baad ki aik aham dua share kru gi is ma bohat sari taqaten hai. Ye ap kisi b nanaz ke bad phar sakty hain lekin ager din ma aik bar pharni ho to isko maghrib k bad pharhain.

Namaz e janaza musalmano ki taraf sy ki janai wali namaz hain. Jab un mai sy kese ki mot ho jaye tho musalman uska namaz e janaza ada karte hain. yaha namaz e janaza ada karnay ki tarika marhala war tafsele sy maujod hain.

Tarjumah: A Allah Hazrat Muhammad (SAW) aur Hazrat Muhammad (SAW) ki all par rehmat bejh. Jes tarha app ny rehmat bejhe aur salam bejha aur barkat di aur merobani ki aur reham kia Hazrat Ibrahim (SAW) Aur Hazrat Ibrahim (SAW) ki all par. Beshak app nihayat taref wala aur buzurg hain.

Tarjumah: A Allah baksh de hamare har zinda aur har mayat ko aur hamare har hazir aur har gher hazir ko aur hamari har chote aur barai ko aur hamari har mard aur aurat ko Allah app hum mai sy jis ko zinda rakhe app us ko islam par zinda rakh. Aur hum mai sy jis ko mot dy tho us ko iman ka mot dy.

Tarjumah: A Allah is larkay ko agay bej kar hamari liye saman wala bana dy aur is hamari ley ajar ka aur waqt par kam aney wala bana dy aur hamari leye sefaresh karny wala bana dy jis ki sefarish manzor ho jaye.

Tarjumah: A Allah is larki ko agay bej kar hamari leye saman wale bana dy aur isko hamari leye ajar aur waqt par kam ani wale bana dy. Aur isko hamari leye sefarish kane wale bana dy aur wo jis ki sefarish manzoor ho jayi. 152ee80cbc

download texas driver handbook

rtl skispringen pc download

posta e calendario windows 10 download