Jara Itna Bata De Kanha Tera Rang Kala Kyu Lyrics In English :
Jara Itna Bata De Kanha Tera Rang Kala Kyu
Tu Kala Hokar Bhi Jag Se Nirala Kyu
Maine Kali Raat Me Janam Liya
Aur Kali Gai Ka Dhoodh Piya
Meri Kamli Bhi Kali Hai
Isliye Mai Kala hu
Jara Itna Bata De…
Sakhi roj hi ghar mein bulati hai
Aur makhan bahot khilati hai
Sakhiyo ka dil kala
Isliye Kala Hu
Jara Itna Bata De…
maine kali nag par nach kia,
or kali nag ko nath lia,
Naago Ka Rang Kala Isliye Kala Hu
Naago Ka Rang Kala Isliye Kala Hu
Jara Itna Bata De…
Sawan mai bijli chamakti hai,
badal bhi bahut baraste hai,
badal ka rang kala,
isliye kala hu
Jara Itna Bata De…
Sakhi Naino Me Kajra Lagati Hai
Aur naino mein mujh ko bithathi hai
Kajare Ka Rang Kala
Isliye Kala Hu
Jara Itna Bata De…