Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool
Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam
Fatima ke woh dilbar pe lakho salaam
aur Hasan ke biraadar pe lakhon salaam"
"jinko jibrail jhoola jhoolaya kare
loriyaa jinko hoore sunaya kare
jinko kandho pe AAQA bithaya kare"
Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam
Isaar-o-sabr-o-hilm-o-sakhaawat
Husn-e-sulooq mehr-o-murawwat
HASSAN ka naam; Aman-o-salaamati ka payambar hai wo,
As-Salaam Ya Imaam Hassan-e-Sabz Qaba
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
"Mustafa ke nawaso pe lakho salaam
Hussain* fitrat ki subh-e-sadiq,
*Hussain* Asmat ki shab suhani,
Khuda Ehad hai, *Hussain* wahid,
Na Uska sani na *Iska* sani,
*Hussain* ka jo shabab likhun to naaz karti phire jawani,
*Hussain* ko gar haseen keh dun, to husn par hai ye mehrbani,
*Hussain* yazdan ka ek hunar hai,
*Hussain* deen e khuda ka ghar hai,
*Hussain* ka hai yahi taruf,
ye ilam k dar ke ghar ka dar hai.
Jinabe imam e HASSAN agaye hain
Sabhi assman bhi zameen pa bichay hain
Zameen pa wo shah e zaman aa gaye hain
Thy azal say bhi pehley gul e noor jo
Phatima ka Khilaney Chaman aa gaye
Kitni Khuhsion Bhari Ajj ki raat hai
Ajj sab k hain mola HASSAN aa gaye
Loh e mahfooz mein tha jo rakha hua
Khud khuda ney dia hai HASSAN in ko naam
Arsh ta Farash hai noor Chaya Hua
Aa rahi hain sadaain Darood o Salam
Jis say rahat dil e Mustafah ko mili
Wo jahan mein imam e zaman aa gaye
Jin ki soorat o seerat Nabi jaisy hai
Saare Aalam mein aisa nahi doosra
Deney aaye Malaik salami sabhi
Ho rahi in pa huraan e jinaa fida
Rahat e qalbo jaan jo Nabi O Ali
Wo imamat kay dojay rakun aa gaye
HASSAN Mola jo jannat kay sardar hain
Hur o ghilman saare hain dar pa kharay
Aaye karney ghulami ka iqraar hain
Jin ko izn e shifaat khuda say mila
Hain mitaney wo ranjo mohn aa gaye
Jin pa naazan Khuda jin pa nazzan Nabi
Jin ko sabz e kaba ka laqab hai mila
Wo jo sardar hain khuld kay baKhuda
Aaye sath un kay hai rahmaton ki ghata
Jis say deen e nabi ko milay gi amaan
Hain wo khursheed mir e aman agaye
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Masjid boli, mimbar bola.. 13 rajab ko kaaba bola...
Ali ali moula Ali ali moula
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula Ali ali moula
13 rajab ko Kaaba bola..
Charo taraf midhat ki fazayein, aao zamane bharko sajayein..
Aaj zahoor hai moula Ali ka, kyun na khushi mein Naara lagayein...
Wjd mein aakar naara lagaya..
Ali ali moula, haider moula...
Ali ali moula Ali ali moula
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula Ali ali moula
13 rajab ko Kaaba bola
13 rajab ki bazm sajayee, khoob hui phir madha sarayee..
Ishq tera darweish banaye, ishq tera baqshy danayee..
APNEY namaz e ishq sikhayee, hume tauheed batayee..
Padhne laga woh tera qasida,
Jab bhi kabhi quran ko khola..
Ali ali moula Ali ali moula
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula Ali ali moula
13 rajab ko Kaaba bola