My Fun

Poetry (Shaery)

                   
 
                         Read Poetry With Wet Eyes
 
 
Poetry is an imaginative awareness of experience expressed through meaning, sound, and rhythmic language choices so as to evoke an emotional response. Poetry has been known to employ meter and rhyme, but this is by no means necessary. Poetry is an ancient form that has gone through numerous and drastic reinvention over time. The very nature of poetry as an authentic and individual mode of expression makes it nearly impossible to define.
 
We have Collected good Poetry in Urdu.
Wasi Shah, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed, Mirza Ghalib and others poetry, Ghazals, Poems are gathered here.
 
Dard bhari Shaery, Eid ki Shaery, Mohabaton wali Shaery, Aik sath sirf  Myfun.co.cc par.
 Dard bhari shaery parhen aur apni poetry Name k sath enter karvane k liye Maayadreams@hotmail.com par send karen 
 
 
             Nahin Milta
 
teri khushboo nahi milti tera lehja nahi milta

hamain to shehar main koi teray jaisa nahi milta

yeh kaisy dhund main hum tum safar aaghaz kar betahy
tumhain aankhainy nahi milti hamain chehra nahi milta

har ik tadbeer apni raigaan tehri mohabbat main
kisi bhi khab ko tabeer ka rasta nahi milta

zamanay ko kareenay se wo apnay saath rakhta hay
magr meray leye us ko koi lamha nahi milta
 
===========================================
                       Ankhen Bheeg jati hain
 
sumandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parta hoon to aankhain bhheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhta hoon to aankhain bheeg jati hain

na ja ne ho gia hoon is kadr hasas kab se
kisi se baat karta hoon to aankhain bheeg jati hain
 
============================================
                             Tu lot ana
 
bichar kar habib meray udas hona to lot aana
akailey pan ki pahar ratain na kut sakain to lot aana

paraai deson main kon mana sakay ga tujh ko siwa meray
agr kisi se u heen mazaq jhgray main rooth jana to lot aana
 
=============================================
 
MUJHAY kaanch kee chooriya laa do na
 
 
MUJHAY kaanch kee chooriya laa do na
haatho say apny pahna do na

haree,neelee,peelee,or kalee b
mujay saray rang hee bhaaty hain

bus rang ho jin may chaht k
mujhay wo choriya laa do na

jub dhoor tum mujh say jao gay
ya choriya mujhay bahlaay gee

maree kaacnh kalaaee(wrest) nazuk c
mujhay nazuk choriya laa do na

taray hijer k lumho may AAY sathee
ya geet tumhary gay gee

tum lot ker juldy gher aana
mujhy kaanch ke choriya pahnana..
 
=============================================
 
                   Kab Badalti Hai
 
Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai

Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai

Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai

Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai

Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye
Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai

Ussey Chaha,Ussey Pooja,Yehi Taqdeer Hai Apni
Hamein Gumrah Mat Samjho,Ebadat Kab Badalti Hai

Puraney Zakham Ko "Kaash" Bhula Dena Hi Acha
Na Chahey Aap Hi Koi To Kismat Kab Badalti Hai
 
===============================================
                   Dekhty hain
suna hai log usay ankh bhar ke dekhtey hain
chalo us ke sheher mein kuch din theher ke dekhtay hain

suna hai bolay tu baton se phool jhartay hain
ye baat hai tu chalo baat kar ke dekhtey hain

suna hai is ke badan kee hai tarash aisee
ke phool apni kbayein katar ke dekhtay hain

suna hai din ko usay titlian satati hain
suna hai raat ko jugnu theher ke dekhtay hain

suna hai usay bhee hai sher o shairi se shaghaf
su hum bhee moajzay apnay hunar ke dekhtay hain

ab is ke sheher mein therein ke kooch kar jayein
faraz aoo sitaray safar ke dekhtay hain
 
==============================================
                 Rakha hai
 
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai



Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai



Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai



Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai


Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai


Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai


Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai


Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai


Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai
 
===========================================
 

Yaad Aoonga

¤¦¤ Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se ¤¦¤
¤¦¤ Khat kisi aur ko Likho gay to Yaad Aaongaa ¤¦¤


¤¦¤ Sard Raaton ke Mehakte huai Sannnaaton mein ¤¦¤
¤¦¤ Jab kisii Phool ko Choomogay to Yaad Aaongaa ¤¦¤


¤¦¤ Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoo ¤¦¤
¤¦¤ Haath se Khud inhen Ponchhoge to Yaad Aaongaa ¤¦¤


¤¦¤Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein ¤¦¤
¤¦¤ Baarishon main kabhi bheegogay to Yaad Aongaa ¤¦¤


¤¦¤ Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Magaroor bohat ¤¦¤
¤¦¤ Jab kabhi Toot ke Bikhrogay to Yaad Aaongaa ¤¦¤



¤¦¤ Haadsay Aayenge Jeevan mein to tum hoke Nidhaal ¤¦¤
¤¦¤ Kisi Deevaar ko Thaamogay to Yaad Aaongaa ¤¦¤


¤¦¤ Is main Shaamil hai meri Bakht ki Taareeki bhi ¤¦¤
¤¦¤ Tum Siyaah Rang jo Pahnogay to Yaad Aaongaa ¤¦¤
 
===================================================
 
Sub Say Chupa Key Dard Jo Wo Muskora Diya
Os Ki Hansi Ney Ajj Mujh Ko Roola Diya

Lehjay Say Oth Raha Tha Her Ek Dard Ka Dhonwa
Cheraa Bata Raha Tha Key Kiya Kuch Ganwaa Diya

Aawaz Main Othawo To Aankhoo Main Nami Thee
Wo Keh Raha Tha Main Nay Sub Kuch Bhoola Diya

Najaney Osay Logo Say Then Kiya Shikauatey
Odasiyon Key Deas Main Khud Ko Basa Diya

Mujh Say Rooth Kar Khud Bhi Adhoora Sa Ho Gya
Mujh Ko Bhi Sarey Logo Main Tanha Bana Diya

Os Ney Bhi Ab Key Hum Say Na Koi Gilaa Kiya
Hum Ney Bhi Choup Key Pardey Main Sub Kuch Chupa Diya
 
==================================================
 
Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi
Ya meri terha faqat ashq bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer se kya aankh milati hogi

Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se
Mere matam ki sada arsh hilati hogi

Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein
Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi

Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas
Ab mohram ki terha eid manati hogi

Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal
Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi

Mere tareek zamanon se nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi

Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi
Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka
Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi
 
==================================================
 

'Tumhaare shahar kaa mausam



'Tumhaare shahar kaa mausam baraa suhaanaa lage
main ek shaam churaa luuN agar buraa na lage

tumhaare bas mein agar ho to bhuul jaao hamein
tumhein bhuulane mein shaayad mujhe zamaanaa lage

hamaare pyaar se jalane lagii hai ye duniyaa
duaa karo kisii dushman ki bad_duaa na lage

na jaane kyaa hai us kii bebaak aaNkhon mein
vo muuNh chhupaa ke jaaye bhii to bevafaa lage

jo Duubanaa hai to itane sukuun se Duubo
ke aas paas kii laharon ko bhii pataa na lage

ho jis adaa se mere saath bevafaaii kar
ke tere baad mujhe koii bevafaa na lage

vo phuul jo mere daaman se ho gaye mansuub
Khudaa kare unhein baazaar kii havaa na lage

tum aaNkh muund ke pii jaao zindagii 'Qaiser'
ke ek ghuuNT mein shaayad ye badmazaa na lage.
 
===============================================
                                  Talaash hai
 
Yeh zara zara si baat par, tarha tarha keh azaab kion
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss Khuda ki talaash hai..

Mujhe larzishoon pe har ghardi, koi toukta hai baar baar
Jise kar keh dil ko dukh na ho, mujhe uss gunnah ki talaash hai

Mujhe uss nagar ki hai justuju, jahan koi bhi chahta nahi lahu
Jahan hiran ko sher se dar na ho, mujhe us jaga ki talaash hai

Yahan ik lamhe ke para'on mein, mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhioon ki tappish na ho, mujhe uss fizza ki talaash hai

Bina humsafar ke koi kab talak musaffittoon mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss nagar ki talaash hai

Husan-kadoon ke shor se meri sama'attein hain ajnabi
Ho jiss pukaar mein mukhlisi, mujhe uss sadaa ki talaash hai

Mujhe dekh kar jo aik nazar, mere saare dard samajh sakay
Jo is qadar ho chaar-a-gar, mujhe uss Nigah ki talaash hai.
 
================================================
               Mohabbat Marr nahe Sakti
 
Hazaron dukh pare sehna mohabbat mar nahi sakti
Hai tum se bus yehi kehna mohabbat mar nahi sakti

Tera har mere khat ko parhna, aur roo dena
Mera har baar likh dena mohabbat mar nahi sakti

Kiya tha hum nay campus ki nadi pay ik haseen wada
Bhale humko pare marna mohabbat mar nahi sakti

Pooranay ahad ko jab zinda karne ka khayal aaye
Mujhay bas itna likh dena mohabbat mar nahi sakti

poorany raabton ko phir naye wade ki khahish hai
zara ik baar tu kehna mohabbat mar nahi sakti
 
================================================
          Main Use Bhool k Khush hoon
 
Haqeeqat hai yaqeen ker lo, main us ko bhool ker khush hoon
Mohabbat mar chuki ab to, main us ko bhool ker khush hoon

Badalti rut ke baa'is tabiyat kuch muzmahil si hai
Yuun mera haal mat poocho, main us ko bhool ker khush hoon

Mere lehjay pe mat chounko, meri aankhon mein mat jhaanko
Yuun hairat se nahin dekho, main us ko bhool ker khush hoon

Tumhein kya vehem hai, kyon raat bher milnay nahin aatein
Aye meri neend ki paryon, main us ko bhool ker khush hoon

Bhala roz kyun baahein waa kiye milnay ko aati hai
Tum us ki yaad se keh do, main us ko bhool ker khush hoon

Udaasi saray gher mein phailti jati hai gham bun ker Asim!
Dar-o-deewar per likh do, main us ko bhool ker khush hoon
 
==============================================
 
Hawao mein jo ye khushboo gungunati hai
tere jism ko chokar nikla jhonka tu nahi

terey choomay hue phoolo per jo yeh bondu ki sajawat
terey kamptay honto ki haya tu nahi

yeh kaali raato ke khoobsurat andherey
teri ghani zulfon ki inteha tu nahi

dhadkano ki tasalsul ko todne wali ye hawa
terey ane ki itela tu nahi

chand bhi ab ghadi ghadi apni kirno ko dhoondta hai
yeh tujhko ko dekhne nikli hai shayad usko pata nahi

aaj ek kantay ki narmi ko dekh ker soocha meine
kahi ye kaanta tujh ko chubha to nahi

aaj kal bijliya bhi kam girti hai
kahi teri angdai iski wajae to nahi
 
===============================================
 
Main Mar Mita to Wo Samjha Ye intiha thi Meri
isse Khabar Hi Na thi, Khaak Keemya thi Meri

Main Chup Hua to wo Samjha ke Baat Khatam Hui
Phir is ke baad to Aawaz ja baja thi Meri

Main us ko Yaad karoon bhi to yaad Aata Nahi
Main Us ko Bhool Gaya Hoon, yahi Saza thi Meri

Shikast De gaya Apna Guroor Hi Us ko
Wagarna Us ke MuQabil Bisaat kia thi Meri

Koi bhi Koo-e-Mohabbat Se Phir Nahi Guzra
To Shahar-e-ishQ amin Kia Aakhri Sada thi Meri ?

Main Us ko Dekhta Rahta tha Hairaton Se "Faraz"
Ye zindagi se Ta'Arruf ki ibdita thi Meri
 
===============================================
 

                 Usse dekhoon


Khushbo ki therhaan Dil main basaa ker use dekhoon
Hatoon Ki Lakeroon main Saaja Ker Uusee Dekhoon

Dil us ko chahee pher Bhi Zaara Deer Ki Lyiee
Khud Us Se Leroon Our Pher Manna Ker Use DeKhoon

Sheshe saa DiL Hai Us KA Kabhi Jo DukH Jayee
PalKoon Se DuKh CHun Loon Our Pher Use DeKhon

Us Ki KhusHe Ki Khater Main Zaher Hans Ki Peloon
Jub Jaan Nikal Ki Gye Tub Pher Main Use Dekhoon

Us Ki Lout Ane Kie InteZar Ki Khater GHAAZAL
Sare Ummer Main Beta doon OUr Pher Use Dekhoon
===============================================
              Nahi Mili
 
Aisa nahi kay hum ko mohabbat nahi mili,
Hum jaisi chahtay thay who qurbat nahi mili,

Milnay ko zindagi mein kaye humsafar milay,
Lakin taybeeyaton say tabeeyat nahi mili,

Checroon kay her hajoom mein hum doondtay rahay,
Soorat nahi mili, kahin seerat nahi mili

Who yak be yak mila tou bohat dare tak humain,
Alfaaz doondnay key bhi mohlat nahi mili,

Us ko gila raha kay tavajo na de usay,
Lakin humain khud apni rafaqat nahi mili,

Her shakhas zindagi mein bohat dare say mila,
Koi bhi cheez hasbay-zaroorat nahi mili
==================================================
 
                                 Kyun Karoon
 
Ho ker Zameen Ka, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon,
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon

Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal,
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon .

Armaan Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mili Mujhe,
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon .

Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye ,
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon.

Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teri Aankh Se Ashk Chalaktey Hain,
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon .

Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa,
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon .

Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera ,
Main Tera Naam Apne Naam Se Milaney Ki Justajoo Kyun Karoon.

Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain,
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon.

Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain,
Aur Aisi Adhu ri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon .

Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain,
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon .

Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai ,
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon.

Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi,
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon.

Itna Dukhaya Dil Ko Tuney Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe,
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoon
==============================================================
tuj say main pyaar karty hon bandagi ki tarha
tu maray zaat may shamil hai zindagi ki tarha

maray khayal par galib hai ik tary soorat
tuj ko hi sochty rahty hon shaairy ki tarha

saja kay ankhon may rakhain hain sub taray jalway
andhary raat kay lamhoo may roshni ki tarha

taray wajood say baqi hain maray umeeday
tum hi basay ho maray dill may ,dharkan ki tarha

is say bar kay may tumhay chaon kasay
nas nas may tum samaa chukay ho lahoo ki tarha

or tumhay keya maloom tum maray zindagi ho
hum nay chaha hai tumhay zindagi ki tarha
=================================================
Iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had yeh ke Dharakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Ussey Hasil
Jisne Mere Khuaboo Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki

Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar
Logoon Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinhoon Ne
Do Chaar Qadam Tay Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne
Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahey Dil Pe Shikaayet Bhi Nahi Ki

Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhey Chhorney Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

Ussne Bhi Ghulamoo Ki Safoon Mein Humein Rakha
Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki
==============================================
 

kisi din



Chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazon kii tarah utaro mere dil mein kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phoolon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzaren jo mere ghar se to ruk jaayen sitaare
is tarah merii raat ko chamkaao kisii din

main apanii har ik saaNs usii raat ko de dooN
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din
=========================================

Tujhay Khaber He Nahi


Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar gayay hain tera intazaar kartay howay

Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

Mujhay khaber thi kah ab loat kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay
=============================================
                kar duu
Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal kar do
Main Kay Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Doh

Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do

Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Doh

Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Doh

Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Doh

Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Doh

Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Doh

Apne Gham Se Kaho Her Wakt Mere Sath Rahe
Aik Ehsaan Karo Is Ko Mossalsal Kar Doh

Mujh Pe Chhah Jao Kisii Aag Ki Surat Janaa
Aur Meri Zaat Ko Soohkha Hua jangle Kar Doh
===============================================
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi thi
===========================================
Mujahy BeKhudi Ki Hay Aarzoo,Mujhay Qurbaton Ka Khumar De
Mery Ang Ang Mein Yun Utar k Mujhi Mein Khud Ko Utar De

Tu Jo Poor Poor Mein Bas Gaya To Hay Doorion Ka Jawaz Kya
Meri Zindagi Mere Pass Aa,Meri BeKali Ko Nikhar De

Meri Zindagi Pe Muheet Hain,Vohi Wehshatein Vohi Doorian
Main Khizan Raseeda Si Sham Hoon,Mujhay Apnay Rukh Ki Bahar De

Meri BeBasi Hay Baja Magar,Mery Shok Ka Bhi Hisab Kar
Main Siyah Naseeb Jo Hoon Agar,Tu Mera Naseeb Sanwar De

Hay Nazar Nazar Teri Justaju,Tu Meri Wafa Ki Hay Aabroo
Kabhi Yun b Ho Mery RuBaru Mujhay Jaan Se Hi Guzar De

Mujhay Iss Tarah Se Tu Yaad Aa,Teri Yaad Ka Guman Na Ho
Tu Mery Khayal Mein Yun Sama,Mera Harf Harf Nikhar De
=================================================

             Tay hoa tha na

Mhbto main har ik lamha wisaal hoga ye tay hoa tha
bichar k bhi aik dosre ka khayal hoga ye tay hoa tha


wo hai hawana bdlty mosam main tmne hm ko bhola dia
koi b rut ho na chahton ko zawal hoga ye tay hoa tha


ye kia?sansain okhar gae hai safar k aghaz main he yaro
koi b thak kar na rasty main nidhal hoga ye tay hao tha


juda huwe hain to kia hoa hai yehe tu dastor e zindagi hai
judaion main na qurbaton ka malal hoga ye tay hoa tha
===================================================
Kahan aa k rukne thay rastay! kahan morr tha! ussay bhool ja
Woh jo mil gaya ussay yad rakh, jo nahi mila, ussay bhool ja

Woh meray naseeb ki barshein, kisi r chhat pe baras gayein
Dil bekhaber meri baat sun, ussay bhool ja, ussay bhool ja

Mein tu gum tha tere hi dhiyan mein, teri aas, tere gumaan mein
Saba keh gey mere kan mein, merey saath aa, ussay bhool ja

Kisi aankh mein nahi ashke ghum, tere baad kuchh b nahi hai kam
Tujhe zindagi ne bhula diya, tu b muskura, ussay bhool ja

Kyon utta hua hia gubar mein, gham-e-zindagi k fishar mein
Woh jo darj tha tere bakhat mein, so woh ho gaya, ussay bhool ja

Na woh aankh hi teri aankh thi, na woh khuwab hi tera khuwab tha
Dil muntazir tu yeh kis liye, tera jagna, ussay bhool ja

Yeh jo raat din ka hai khail sa, issay dekh, is pe yaqeen na ker
Nahi aks koi b mustaqil, sre aina, ussay bhool ja

Jo bisate jaan hi ulat gaya, woh jo raaste se palat gaya
Ussay rokne se hasool kiya, ussay mat bula, ussay bhool ja

Tu yeh kis liye shabe hijar k ussay har sitare mein deikhna
Woh falak k jis pe mile the ham, koi r tha, ussay bhool ja

Tujhe chaand ban k mila tha jo, tere sahiloon p khila tha jo
Woh tha ek derya wisal ka, sou utar gaya, ussay bhool ja
=================================================
Woh mujh se meri udasiyon ki wajah puchhta hai
Kaisa pagal hai dhalti raat k sannate ki waja puchhta hai

Woh mujh se meri baresti ankhoon ki waja puchhta hai
Kaisa pagal hai barish k barasne ki waja puchhta hai

Woh mujh se meri passand k bare mein puchhta hai
Kaisa pagal hai khud apne bare mein puchhta hai

Woh mujh se meri mohabbat-o-wafa k bare mein puchhta hai
Kaisa pagal hai samandar per khare uski gahrai puchhta hai
 
===================================================
MAIN US KI ZAAT PER AISE YAQEEN RAKHTA HON
K JAISE QADMON K NEECHE ZAMEEN RAKHTA HON


HAQEQATON KI TO BAD SOORTI HAI APNI JAGA
MAGER MAIN KHAWAB BOHT DIL NASHEEN RAKHTA HON


YE DIL TO MER CHUKA LEKIN WO KHAWAB ZINDA HAI
MAKAN TO NAHI RAKHTA,MAKEEN RAKHTA HON


ZAMEER MERA MUJE ROSHNI DIKHATA HAI
SADAQATON MAIN GUNDA IK AMEEN RAKHTA HON


YE NAZ HAI KOI NADAN MERA DOST NAHI
YE FAKHER HAI K MAIN DUSHMAN ZAHEEN RAKHTA HON
=================================================
Fiza Main Jaisey Khushbuon Ka Raqs Jaga Hey
Sunehri Titliyan Phir Sey Gulabon Key Labon Ko Choo Ker Aai Hain
Darakhton Ki Khuli Banhon Main Saye Baat Kertey Hain
Udasi Ashk Ankhon Main Liyey Ab Door Nikli
Usi Dhaltey Huwey Din Ki Mundairon Per
Charagh-e-Shaam Jalta Hey
Tu Dast-e-Meherban Jaisey
Merey Anchal Key Koney Sey Wafa Ka Aik Lamha Baandh Deta Hey
Merey Sehen-e-Huner Main Herf-o-Maani Ki Talawat Sans Leti Hey
Koi Roshan Sitara Aasmaan Pey Muskrata Hey
Sumander Geet Gata Hey
Kamal-e-Ehd-e-Masti Hey
Jahan Per Mousam-e-Jaan Bhi Bohut Heraan Lagta Hey
Koi Chehra Merey Dil Key Badan Sey Aan Lagta Hey
Yehi Chupkey Sey Kehta Hey
“Mujhey Tum Sey Mohabbat Hey”
“Mujhey Tum Sey Mohabbat Hey”

=====================================
Musafir tou bichhartay hain rafaqat kab badalti hai
Muhabbat zinda rehti hai muhabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahtay hain hum tumhi se pyar kartay hain
yehi barson se aadat hai tou aadat kab badalti hai

Kali ka phool ban na aur bikhar jana muqaddar hai
Yehi qanoon.e.fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaey aur aankhon mein simat aaey
Alamat hai yeh chahat ki to chahat kab badalti hai

Badal jatay hain mausam phool mein khushboo nahi rehti
Maqar chahat k phoolon ki razaqat kab badalti hai

Usay chaha usay pooja yehi touqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibadat kab badalti hai

Puranay zakhm ko arshad bhula dena he accha hai
Na chahay aap he koi tou kismat kab badalti hai
==============================================
Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishiyen Bhi Sumar Karna
Jo Mery Hissay Main Aye Hain Who Aziyaatein Bhi Sumar Karna

Chalaye Rakhon Gi Main Subha Tak Tumary Raston Main Apni Ankhein
Mager Kahin Sabt Tot Jaye Tu Barishein Bhi Shumar Karna

Jo Harf Loh_E_Wafa Per Likhay Hoye Hain Un Ko Bhi Dekh Laina
Jo Rahhegaa Ho Gaein Who Sare Ibbaratein Bhi Shumar Karna

Yeh Sardiyo0n Ka Udaas Musam Kay Dharkaein Barf Hogai Hain
Jab In Ki Yakh Bastagi Parkhna Tu Tamazatien Bhi Sumar Karna

Tum Aapni Majboriyon K Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Who Khuwahishein Bhi Sumar Karna

Mohabbatein Jab Sumar Karna To Sazishiyen Bhi Sumar Karna
Jo Mery Hissay Main Aye Hain Who Aziyaatein Bhi Sumar Karna
========================================================
usse apne farda'a ki fiker thee...wo jo mera waqif-e-haal tha..
wh jo us ki subha-e-urooj thee..wohi mera waqt-e-zawaal tha..

mera dard kaise woh jaanta..meri baat kaise woh maanta..
woh apne fana ke safar main tha..usse rokna bhi muhaal tha..

kahan jao ge mujhe chorr kar..main yeh pooch pooch ker thak gayi..
woh koi jawab na de saka..wo tou khud saraapa sawaal tha..

woh jo us ke saamne aa gaya..ussi roshni main naha gaya..
ajab us ko haibat-e-hussn thee..ajab us ka rang-o-jamaal tha..

dam-e-wapasi usse kia hua..na wo roshni na wo taazgi..
woh sitaara kaise bikhar gaya..wo tou aap apni misaal tha..

woh mila tou saddiyoun ke baad bhi..mere la'b pe koi gilla na tha..
usse meri chup ne rula diya..jise guftugu main kamaal tha..

gale lag ke mujh se wo ro diya..faqat itna hi woh keh saka..
jise jaanta tha main zindagi ..wo tou sirf weham-o-khayal tha
====================================================
Kitni Aziyet Se Is Ne Mujhe Bhulaya Ho Ga
Meri Yaadoon Ne Isse Khub Rulaya Ho Ga

Baat Be Baat Aankh Is Ki Jo Chalki Ho Gi
Isne Chehre Ko Baazoan Mey Chupaya HoGa

Socha Ho Ga Iss Ne Din Mein Kaee Baar Tujhe
Naam Hatheli Per Likh Likh Ke Mitaya Ho Gaa.

Jahan Is Ne Mera Ziker Suna Ho Ga Kissi Se
Is Ki Aankhoon Mein Koi Aansoon To Aya Ho Ga

Raat Ke Bheeghne Tak Neend Na Aai Ho Gi
Is Ne Taqiye Ko To Seene Se Lagaya Ho Ga

Ho Ke Nidhaal Meri Yaadoon Se Is Ne jana
Meri Tasveer Per Sar Apna Tikaya Ho ga
=====================================
mujhe maaf kar meray hamsafar tujhe chahcna meri bhool thi
kisi raah par jo uthi nazar tujhe dehkna meri bhool thi
koi nazam ho koi gazal ho kahi raat ho kahi sehar ho
wo gali gali wo shehar shehar tujhe dhoondna meri bhool thi
tre gham ki koi dava ni mujeh tujh se koi gila ni
mera koi teray siva nahi yehi soochna meri bhool thi !!
================================================
 
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Mere Talassh Hai
Wohi Dard Mere Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai
 
======================================