Sant Asaramji Bapu ka

Hindusthan ki janataa ko SANDESH

 


  "Bharatwasi, suniyojit shadyantr haavi ho rahaa hai...aap ko todanewali taakade naa-kaamayaab ho isliye aise moke par samajhdaar logo ko sanghatit hona chahiye aur ku-prachaar ko su-prachaar se dho lena chahiye..."

    please watch vedio part 1

 

"jo log suprachar se ku-prachar ko dhote vo ishwar ke daivi kary ke bhaagidaar maane jaate... ram ji ke liye ek dhobi ne ungali uthayi, lekin aasaram ke liye kitani kitani ungliyaa uthayi jaa rahi hai.....ek sant ka hi kaam nahi hai samaaj ko unnat karana;  ram ji ke sath daivi kary mey hanumanji lage, angad lage, nil lage, yahaa tuk ki chhote se chhoti gilhari bhi un ke daivi kary mey lagi...ab vo hi samay aa gayaa hai..  chhote se chhota bhaartiy vyakyi aur bade se bada adhikaari sabhi is kary mey lag jaaye....kuprachaar ke sajish ke shikaar naa ho, hindusthan mey ashanti phaile aisi ye sajish hai....kapol kalpit aarop lagate aur prashaasan pareshan hota, log bhramit hote , sadhuo ko badanaam kiya jata ..kaliyug ke prabhaav se naasamajh mandmati ke log jo kuchh likha gaya usi ko sach maan lete...jo kuprachaar karate un ko bhagavaan sadbudhdi de..dhyaan rakhe, ku-prachar ke saajish ke shikaar naa ho...."

Please watch vedio part 2

"....aasaram bapu ka ashram vyaktigat nahi hai..trust ki sampatti hai, hindusthan ki sampatti hai..aur hindusthan ke sampatti ko kyo damage karate? hindusthan to vishw ke liye param heet ka sochanewala hai ..aise hindusthan ka itana aheet kyo chaahate?.. hindusthan ke liye badanaami ka sajishkartaa aap kaha is kaa badalaa chukaaoge?

  ..kisi ka dhan chhinana aparaadh hai, kisi ka hath pair todana aparaadh hai, lekin usase hajaro gunaa bada khatarnaak aparaadh hai logo ki shradhda todana..jo shradhda jodate wo utanaa hi puny kary karate,jo shradhda todate wo utane hi  prakruti ke aparaadhi hai..shardhda nahi rahegi to ras nahi rahega.. to sharabi kabaabi aur criminal ban jayenge... humhare desh ki sanskruti ki bahot haani ho rahi  .. achhe logo ko saamane aana chahiye... kisi ek vyakti ka ye kaam nahi....pure desh waasiyo ka ye kaam hai .. sajishkartaao ke bad-iraado ko naa-kaamayaab karane mey lag jaaye...achhe logo ko is kary mey lag jaana chahiye - apani vani se, apani akkal se,  apani adhikar se...

...hum desh mey shanti chaahate hai.... hum sabhi jaanch padataal ka swagat karate hai....dudh ka dudh aur pani ka pani ho jaaye..
bahot julum sahe liya ab bapuke pyaro  ko daTT ke rahene ka aur daT ke julum se bachane  kaa samay aa gayaa hai..

   Navyuwako ko sandesh hai ki , aap ke jeevan mey shradhda aur aatm sanyog hoga to jaha bhagavan ka ashray,bhagavaan mey shradhda, kartavy parayanataa aur sanskruti ki raksha  hai waha "SHRI" hai....vijay hai...baahar bhitar saphalata hai.. vijay hai..vibhuti hai....yathayogya dhiraj se , sujh bujh se lag jaaye ...ye aandhi tuphaan aapko kamjor banaane ke liye nahi; aap ko BALWAAN banaane ke liye aate hai...apane kartyavy path par danT kar khade ho jaaye.... samaaj mey panapataa huaa bhrashtachaar door kare... desh sewa, samaaj sewa ke liye khade ho jaaye aur saajisho ko na-kaamayaab kare...."

 

please watch vedio part 3

 

 

Sign in  |  Recent Site Activity  |  Terms  |  Report Abuse  |  Print page  |  Powered by Google Sites