Armaan
 

armaanon ki nagari mein...

aag laga ke chale gaye

jab rakh hua sab kuch to poocha...

wo saare sapne kahan gaye

us armaanon ki nagari mein ghar tha chhota sa mera

ghar tha saja sanvra... tha usme khushiyo ka dera

pata nahi kyon armaanon ki nagari mein...

aag laga ke chale gaye

jab neend udi toh dekha ki sapno ka kusoor na tha

is zindagi ki nagri mein kuch dhuaan udta dikh raha tha

fir samjha dehleez ke us paar tum the.. is paar hum

pata nahi kyon armaanon ki nagari mein...

aag laga ke chale gaye 

Home